Tum khud hi ho phool ek gulab ka
ab aur kya me tumhe gulab du
hasne se tumhare khil jati he kaliya gulab ki
nazar na lage kisi ki isi gulab se nazre utar du
Rom rom kanp utha mera jab mene ek bachche se pucha
zindagi aur mout kya he
usne kaha jab tak maa ka daman raha sanse chalti rahi, aur uska daman uth te hi zindagi mout ban gai
Pyar unhe bhi tha aur hame bhi tha
par kya majburi thi izhare mohabbat me
wo chahkar bhi kuch keh na paye aur
hum chahkar bhi unse kuch sun na paye
Apne chehre se zara ye naqab to hata lo
ke chand ko grahan lage hame ye pasand nahi
Zindagi yu hi nikal gai isi pashopesh me
kuch achcha kama lenge to zindagi aram se jiyenge
har sanso me he ehsas tumhara
har dhadkan me he ehsas tumhara
har khayalat me he ehsas tumhara
ya yu kahu ke har ibadat me he ehsas tumhara